Woh Dubai Waali Videos Aur Crorepati Banne Ka Sapna
Yaar ek baat batau? Main khud bohot baar YouTube dekhte hue ruk jaata hoon jab koi Videos chalti hai. Ek smart sa ladka, designer kapde pehne hue, Dubai ki kisi fancy gaadi ke saamne khada hota hai. Style se kehta hai, “Maine sirf 6 mahine mein crore kama liye YouTube automation se — bina apna chehra dikhaye!” Phir kehta hai, “Aap bhi kar sakte ho, bas mera course le lo.”
Also Read: Website या Blog को Google News में कैसे लाये Hindi (Meri Asli Strategy)
Us moment pe na, dil thoda sa hil jaata hai. Dimag bolta hai, “Yaar agar yeh sach hai to zindagi badal sakti hai.” Lekin phir ek second mein doubt bhi aata hai — “Kahi yeh sab natak to nahi?” Aur yahi soch mein aadmi ulajh jaata hai.
Mera Anubhav: 5 Saal Online Earning Ke Field Mein
Main isliye keh raha hoon kyunki main khud is phase se guzar chuka hoon. Mera naam Ghulam Muhiudeen hai. Main 5 saal se blogging aur online earning ke field mein hoon. Bohot kuch dekha hai — naye naye log aaye, naye trends aaye, naye jhoot aaye. Aur har baar logon ko ek naye shortcut ka sapna becha gaya.
YouTube Automation bhi waise hi ek sapna ban gaya hai. Pehle log team banate the — writer, editor, voice-over. Phir AI aagaya aur bola gaya ke “ab kuch bhi khud karne ki zarurat nahi, bas ek line do, aur AI tumhare liye video banayega.”
Mera Personal Experience: Jab AI Tools Ne Dil Toda
Yaar main bataun? Main ne khud yeh AI tools use kiye hain. Main genuinely excited tha. Socha tha ki chalo time bachega, kaam asaan hoga. Lekin jab result dekha to dil toot gaya.
Script boring thi, voice-over robotic tha, aur video mein koi feel hi nahi thi. Jaise kisi machine ne bina soch samajh ke bas ek cheez bana di ho.
YouTube Ka Algorithm Bewakoof Nahi Hai
Aur YouTube ka algorithm itna bewakoof nahi hai jitna hum samajhte hain. Aisi low-effort aur repetitive videos woh turant pakad leta hai. Na woh promote karta hai, na monetize. Kabhi kabhi to channel hi strike kha jaata hai. Aur jab aapki 10-20 videos zero views le kar baithi hoti hain, tab asli frustration samajh aata hai.
Guru Ka Game: Asli Paisa Kahan Se Aata Hai?
Aur woh guru log jo aapko AI tools bech rahe hote hain, unka asli paisa YouTube se nahi, aap se aata hai. Woh aapko tool ka subscription bechte hain, aapki umeed bech ke. Lekin woh struggle nahi dikhate jo har naye bande ko hoti hai jab AI se banayi gayi videos fail hoti hain.
Toh Sahi Raasta Kya Hai? Shortcut Nahi, Skill Banao
Main yeh sab isliye keh raha hoon kyunki main chahata hoon ke aap time waste na karo. Main chahata hoon ke aap ek solid base banao. Aur main jhoot nahi bolunga — YouTube se paisa banta hai, main khud kamata hoon. Lekin shortcut se nahi. Skill se, consistency se, aur bohot patience se.
Aap agar abhi shuru kar rahe ho to please yeh “automation” ka lafz dimaag se nikaal do.
- Apna channel banao, kisi bhi topic par jo aapko pasand ho — gaming, tech, cooking, kahaniyaan, kuch bhi.
- Khud script likho. Galtiyan hongi, lekin wahi learning hai.
- Apni awaaz mein bolna seekho, chaahe shaky ho initially.
- Video editing seekho, CapCut jaise free apps se start karo.
- Thumbnail banane ke liye Canva use karo — sab free mein milta hai.
Mera Safar: Zero Views Se Pehli Kamai Tak
Main bhi isi tarah shuru kiya tha. Mere pehli 30 videos par average 5 views the. Khud se doubt hone lagta tha — “Yaar, kya main galat kar raha hoon?”
Lekin maine give up nahi kiya. Har video ke baad kuch naya seekha. Dheere dheere, video quality improve hui. Ek din 100 views aaye, phir 500, phir pehla $1 AdSense se mila. Us din samjha ke yeh game patience ka hai.
AI Ko Assistant Banao, Replacement Nahi
Aur jab aap thoda experience le lo, tab AI tools ka use karo — assistant ke tarah, not replacement ke tarah. Kyunki ek tool tabhi kaam karta hai jab user samajhdaar ho.
Asli Kamyabi Mehnat Mangti Hai
Aaj kal ke guru bas “viral” ka nasha bech rahe hain. Lekin main aapko reality dikha raha hoon — yeh journey slow hai, lekin real hai. Skill aapka asset hoti hai.
- Scriptwriting
- Video editing
- Thumbnail designing
Yeh cheezein sirf YouTube pe nahi, freelancing mein bhi kaam aati hain. Agar aap yeh seekh jao, to kahin se bhi paisa kama sakte ho.
Toh agli baar jab woh videos aaye jisme ek banda bolta hai, “bas yeh AI tool le lo, aur crorepati ban jao,” to dil se ek baar muskurana aur sochna, “Bhai, tum shortcut bech rahe ho, main skill bana raha hoon.”
Asli kamiyabi wahi hoti hai jo mehnat se milti hai. Jisme neend udti hai, pareshaani hoti hai, doubt hota hai — lekin end mein jo sukoon milta hai, woh kisi bhi shortcut se nahi mil sakta.
Faisla Aapke Haath Mein Hai
Aaj faisla aapke haath mein hai. Fake dreams ke peechay bhaagna hai ya ek aisi skill seekhni hai jo lifetime kaam aaye?
Main sirf yeh kehna chahta hoon — jo main nahi jaanta tha jab main naya tha, woh aapko bata raha hoon. Apni journey ka asli version. Aap bhi chalo, lekin apne dam pe. Shortcut nahi, solid base ke saath.
Main hoon yahan — agar kabhi bhi raasta bhool jao, ya kisi baat pe doubt ho, to yaad rakhna — Ghulam Muhiudeen kabhi na kabhi wahan tha jahan aaj aap ho.
Aur agar main kar sakta hoon — to aap bhi zaroor kar sakte ho.